Kal se ubhar pao toh,
kal ko dekh paonga...
Aaj se neepat lu toh,
kal par pahuch jaonga...
Kal aaj se jeetne nahi deta hai,
Aaj kal tak pahuch nahi deta hai....
Kashmakash kal aaj aur kal ki,
Bikhare hue, tute hue pal ki....
Umeed ka daaman thame hue hu,
Shiddat ka sahara hai...
Jissne itni muskile di hai
aab toh bus, usko hi pukara hai...
Yakeen hai,
kal ki tasveer kal se behtaar hogi....
Jissne mujh paar itna bharosa kar,
Muskilo ko de maara hai....
Ho na ho yeh usska hi
koi eshara hai ....
Umeed ka daaman thame hue hu,
Shiddat ka sahara hai...
Jissne itni muskile di hai
aab toh bus, usko hi pukara hai...
Aur phir koi kaheta hai
Umeede najayaz hai
Monday, December 3, 2007
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
3 comments:
*smiles*
Good one..
"Umeed ka daaman thame hue hu,
Shiddat ka sahara hai...
Jissne itni muskile di hai
aab toh bus, usko hi pukara hai..."
sajde mein bas ab hum bhi jhukte hai ... loved it
Alok
Hope: Love that name my favourite topic to write on
Alok : Aab hum kya kahe ke kitni betaabi se hum bhi aap ke comment ke liye rukte hai :) Thanks yaar
Post a Comment