Thursday, December 20, 2007

Zindagi ya Maut

Maut ko gale lagana aasaan hai,
Zindagi se bhag jaana aasaan hai…
Par, Jinke ankho mein manzil ki roshni ki chamak,
Haatho mein umeed ki dor ho…
Voh zindagi se muh chupaya nahi karte,
Adhuri jung chod...
bhag jaaya nahi karte
Maut toh aani hai par,
Yun usse apne haatho bulaaya nahi karte...

Aao hum saab mil kar thame haath,
Aao hum saab mil kar thame haath…
Madaath kare apni aur unki jinhe,
Jarurat hai uski…


Ke tanha zindagi kaati jaati hai,
Saath ho gar kissi ka toh
bus Yun hi guzaar jati hai….


Aur phir koi kaheta hai.....

Kabhi aati hai nazaar zindagi,
Aarzuo se bataar...
Toh kabhi Maut,
Sapno se behetar...

4 comments:

Alok said...

loved these lines

"Kabhi aati hai nazaar zindagi,
Aarzuo se bataar...
Toh kabhi Maut,
Sapno se behetar..."

it means so much for me .... but then as u said ...

"Maut ko gale lagana aasaan hai,
Zindagi se bhag jaana aasaan hai…
Par, Jinke ankho mein manzil ki roshni ki chamak,
Haatho mein umeed ki dor ho…
Voh zindagi se muh chupaya nahi karte,"

-irrespective of tht we live and sometime we just exist ..


Alok

Alok said...

Merry Christmas sirji


Alok

Ronak said...

Thank you sirji

The fact that you like the last lines worries me though....

Hope its just liking for the shayari and not an reflection...

Anonymous said...

Mil gaya tha humsafar hume kuch pal ke liye,
Mil gaya tha bahana hume jeene ke liye,
Ab hum roz apni maut ko bulaya karte hai,
Ki humsafar chal pada hai maut se milne ke liye