Wednesday, November 19, 2008

Khaamosh sa afsaana paani se likha hota ...

Khaamosh sa afsaana paani se likha hota
Khaamosh sa afsaana paani se likha hota
Na tumne kaha hota, na humne suna hota
Khaamosh sa afsaana

Dil ki baat na poochho, dil to aata rahega
Dil ki baat na poochho, dil to aata rahega
Dil bahekaata raha hai, dil bahekaata rahega
Dil ko tumne, oh, kuch samjhaaya hota

Khaamosh sa afsaana paani se likha hota
Khaamosh sa afsaana paani se likha hota
Na tumne kaha hota, na humne suna hota
Khaamosh sa afsaana

Sehme se rehte hai jab yeh din dhalte hai
Sehme se rehte hai jab yeh din dhalte hai
Ek diya bujhta hai, ek diya jalta hai
Tumne koi, oh, deep jalaaya hota

Khaamosh sa afsaana paani se likha hota
Khaamosh sa afsaana paani se likha hota
Na tumne kaha hota, na humne suna hota
Khaamosh sa afsaana

Kitne saahil dhoonde, koi na saamne aaya
Kitne saahil dhoonde, koi na saamne aaya
Jab majdhaar mein doobe, saahil thaamne aaya
Tumne saahil, oh, pehle bichhaaya hota

Khaamosh sa afsaana paani se likha hota
Khaamosh sa afsaana paani se likha hota
Na tumne kaha hota, na humne suna hota
Khaamosh sa afsaana


By Gulzar from Libaas