Beete hue chand lamhat dohra raha hu....
yaado ke kuch moti beekher raha hu...
hakikat se mat ghabrana mere yaar,
ek yehi toh hai jo chehra nahi badalti
hakikat ko jo samajh gaya ek baar,
yakeen aur vaham ki na hogi galati…. by
aarzkiyahai my reply....
Yakeen aur vaham ki galati nahi hoti humse
Gar thake na hote aapne hi gumse,
Kya kare ki humko badshakal hakikat nahi suhati,
Varna kaun se surat hai joh aaine se katrati
Mukhote liye duniya ko hasaate hai,
Aakhmicholi khel apne hi gumse dur bhag jate hai,
Kissko hai fursat ke humare zakhmo par marhum lagaye,
Apne zakhmo bhul humara gum apnaye,
Umeede najayaz hai,
Khwaishe bemaani,
Zindagi apni hai aap hi nibhani,
Aakho se sukh gaya hai pani,
Umeede najayaz hai,
Khwaishe bemaani,
Update : aap ka hukum saar ankho par aarzkiyahai ne baat chedi...(refer comments)gum ki hakikat ko humne hai pechana
zamkho ki dard ko humne hai seh-jaana
duniya se koi shikayat shiwah nahi hume
bewafaa ki mohabat ko humne hai nibhana
Aab baat nikali hai toh dur talak jayegi Humara jawab.....zamkho ke dard ka gum na tha,
na shiwah shikayat kissi se,
ranjishi toh bus yeh hai ke,
kum se kum bewafaa ne kabhi mohabat toh ki hoti...
bewafaai bhi seh lete...
Hum unn do ghadiyo mein jee lete..
Voh ek ehsaas zindagi bhar ke liye kum na tha....
zamkho ke dard ka gum na tha,
zamkho ke dard ka gum na tha,